Monday, July 23, 2007

O mere dilbar hasin

O mere dilbar hasin,
O mere jane jahan,
Tujhpe hai qurbaan sanam,
Ye mere dil aur jahan...

Tujhse hai saasein meri,
Tujhse hi dhadkan meri,
Tujhse hai raatein meri,
Tujhse hi hai ye subah shyam...

O mere dilbar hasin,
O mere jane jahan,
Tujhpe hai qurbaan sanam,
Ye mere dil aur jahan...

Tere bina tanha sama,
Tere siva kuch na yahan,
Tu nahi to kuch bhi nahi,
Tu meri kashti ka karvaan...

O mere dilbar hasin,
O mere jane jahan,
Tujhpe hai qurbaan sanam,
Ye mere dil aur jahan...

Dhundte hue un beete lamho ko,
Firta hu mai yahan wahan,
Jeeta hu teri yaadon tale,
Ro ro gujarta ab har lamha...

O mere dilbar hasin,
O mere jane jahan,
Tujhpe hai qurbaan sanam,
Ye mere dil aur jahan...

Ishq de o mitra mere,
Ab na yu mujhko sata,
Aaja bahoon mai ab to mere,
Karde pure mere sab armaan...

O mere dilbar hasin,
O mere jane jahan,
Tujhpe hai qurbaan sanam,
Ye mere dil aur jahan...

O mere dilbar hasin,
O mere jane jahan,
Tujhpe hai qurbaan sanam,
Ye mere dil aur jahan...

O mereeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee..................

Wednesday, June 06, 2007

Dost tere hasi k khatir main zamane se bhi lad jaunga

Dost tere hasi k khatir main zamane se bhi lad jaunga,
Gar aye jo koi mushkil tere raste mai 2 mai chattan ban usse takra jaunga,
Magar tu na kabhi ruth jana mujh se,
Varna mai 2 jite ji mar jaunga...

Suhag Raat

Shital chandi ke bartan,
Mai rakha hua shahad wala dudh,
Aasman mai poonam ka chand hai,
Sitare gawah hone wale hai,
Ek madhur milan ke,
Kamre mai ek masti si chai hai,
Saej hai fulon wali,
Rut hai Pyar bhari,
Ye kaisi raat hai,
Ye kaunsi raat hai...

Suhaag raat hai ye,
Ghunghat odhe baithi hai,
Saej par sajaniyaan,
Apne balam ka intezaar karti hui,
Aaj na jane q uske dil ki dhadkane tez hai,
Kap kapi si hai sare badan mai,
Maan mai ek sehma hua sa daar hai,
Magar dil mai lankho umange aur tarange bhi hai,
Kabhi mand mand muskati,
To kabhi babul ko yaad kar roti,
Yeh kaisi kash-makash hai,
Nahin janti hai wo...

Ek aahat si hui hai darwaze k pass,
Dil mai uske,
Jaise khwahishoon ka,
Sailaab umad pada ho,
Ab to uske dhairya ka bandh,
Bhi tutane par aa gaya,
Uski saasein tez ho rahi hai,
Ab na jane kya hoga,
Uske kaan,
Unki awaz ko sunane ke,
Liye bechain hai,
Uski aakhein unke,
Deedar ko taras uthi hai,
Uske honth,
Tharthara uthe hai...

Haa ye aahat,
Uske piyaji ke kadmoon ki hi hai,
Ate hai nazdik uske piyaji uske,
Ghoongat ye uthaya hai unhone uska,
Chand sa chamakta chehra dekh kar,
Piyaji ka maan bhi nachne laga hai,
Sitaron si chamakti hui bindiya,
Ek pal ke liye piyaji ka hosh le udati hai,
Uske chehre ke noor se,
Aankhe chaundhiya gayi hai piyaji ki,
Lab kuch bolna cahte hai piyaji ke,
Magar shabd nahin hai milte unhe...

Hathon mai ek chitti hai piyaji ke,
Sajaniyaan bechain hai,
Piyaji ka dil aaj ro raha hai,
Chitti ye pakda di hai sajaniyaan ko,
Padhte hi chitti sajaniyaan,
K upar maano pahad sa toot pada ho,
Uske armaano par,
Jaise bijli si gir padi ho,
Haa ye sarhad se piyaji ke liye,
Bulava aya hai,
Jaana hoga unhe isi waqt,
Apni maa ki hifazat k liye,
Chod sajaniyaan ko is tarah...

Sajani ke dil ki halat dekh,
Piyaji Ke maan ka gubar,
Bahar umad aya,
Aankhe ro padi piyajiki,
Motiyoon se aanso,
Chalak padhe aankho ke bahar,
Sajani ne apne palle ko utha kar,
Ponch di apne sarkar ki aankhe,
Aur pi liye apne ontho se wo moti,
Unke gaaloon par se,
Aankho hi aankho mai,
Keh diya hai alwida piyaji ko,
Chod ke chal diye hai,
Piyaji sajni ko unhi,
Munh se uff na boli wo,
Raaz dil ke kisi pe na kholi wo...

Aayi hai khidki par,
Jate huye piyaji ko dekhne,
Alwida unko kehna hai,
Magar lab hai ki sath,
Nahi hai dete uske,
Aakhon se aankhe milti hai,
Dil se dil ke taar judate hai,
Aur labon se kuch na keh kar bhi,
Ek dusare se,
Hazaron battein keh jati hai,
Dono akkhiyaan...


Door Ja rahi hai,
Baggi lekar piyaji ko,
Taak rahi hai ye aankhiyaan,
Dur tak piya ko,
Na jane fir kab hoga ye milan,
Yahi dua hai karta sajaniyaan ka dil,
K salamat rakhna mere sartaaj ko,
Aur kabhi na dikhlana,
Kisi dulhaniyaan ko fir ye din...

Dekh ye manzaar aaj,
Asmaan bhi ro pada hai,
Chand bhi sharmaan ke,
Badloon ke bich chup gaya hai,
Sitare bhi kho gaye hai kahin par,
Pavan bhi mano ruk si gayi ho,
Pedho ki shakein bhi zhuk si gayi hai,
Ful bhi sare simat gaye hai,
Sab mil keh rahein hai khuda se,
K salamat rakhna iske piyaji ko,
Jaldi karva dena inka milan,
Aur kabhi na dikhlana,
Kisi dulhaniyaan ko fir ye din,
Soch kar sab ye pareshaan hai,
K Kaise reh payegi ab,
Sajaniyaan apne saajan ke bin...

Monday, June 04, 2007

Khone ko to pehle hi kuch nahi tha mere pass

Khone ko to pehle hi kuch nahi tha mere pass,
Us par tumne ye dil bhi chura liya,
Ek jaan hi baki hai ab is sharir mai,
Uspar bhi tumne apna haq jama liya...

Not every tree can stand thirst but cactus did it

Not every tree can stand thirst but cactus did it...
Not every animal can represent a nation but lion did it.....
Not every flower can represent lov but rose did it..
Not every person can make my friend but you did it...

Tere chehre mai koi kashish hai

Tere chehre mai koi kashish hai,
Jiske rehte,
Mera ye dil mujhe tujhe dekhne par majbur kar deta hai...

Badhne lagti hai dil ki dhadkane,
Ajib ajib khwab sajane lagta hai ye maan,
Pagal sa ho jata hu...

Ji karta hai teri ghani zulfon ko dekhkar,
Unn mai kahin kho jaun,
Tujhe apni palkhon par bitha kar sari duniya ghumaun...

Chahat hai ki,
Tumhari uljhi hui laton ko savaru,
Tumhare chand sa mukhde ko har pal niharu...

Tumhare chehre k noor se,
Roshan karlu apne jahan ko,
Aur tumhe apne hatoon se sajau...

Jalan hoti hai mujhe is pavan se,
Jo tumhare kaan ki baliyoon ko chupke se hila jati hai,
Aur har pal tumhare sath rehti hai...

Shikayat hai mujhe us rab se,
Kash mujhe usne bhavra banaya hota,
To mai tere baloon mai lage gajre k jariye hal pal tere sath to hota...

Tab tere sasoon ki khushbu mera ang ang mehkati,
Tere dil ki dhadkan mujhe deewana banati,
Tab mai teri sargam jaisi awaz ko sun ghum ghum kar gungunata...

Mujhe bhagane k bahane hi sahi,
Magar kam se kam,
Tere komal komal hantho ka saprsh to mujhe mil pata...

K tere chehre se hi meri nazar nahi hatati,
Aise mai is dil ka kya karu,
Ye masum to tumhe chahne ka gunha kar baitha hai...

Sochta hu ke kash bas ek pal k liye hi agar tu meri ho jaye,
To mai us pal mai hi sari zindagi tere sang ji lunga,
Chahe fir koi kahe to mai haste haste zeher bhi pi lunga...

Sunday, June 03, 2007

Yaar ate bhi tum hi ho

Yaar ate bhi tum hi ho,
Jate bhi tum hi ho,
Hum to hamesha rahoon mai hi khade the tere,
Jab marzi awaz de dena...

Teri yaadon ka gulshan

Teri yaadon ka gulshan,
Teri dosti ka tohfa,
Jo tune mujhe diya hai,
Use hamesha unhi sajaye rakhna,
Use kabhi mujse vapas mat le lena,
Varna ye dil jo pehle hi tuta futa dhadak raha tha,
Fir to chur hokar ruk hi jayega...

Jab jab ghire badal teri yaad ayi

Jab jab ghire badal teri yaad ayi,
Jab jhoom ke barsa sawan teri yaad ayi,
Jab jab mein bhiga teri yaad ayi,
Jaldi se aaja o dilbar mere,
Qki ab to wo mitti bhi nahi bachi pairon tale,
Jo kabhi meri is naakam deh ko sambhala karti thi...

Tanhai ke is alaam mai koi na dost hai na koi sathi

Tanhai ke is alaam mai koi na dost hai na koi sathi,
Hai to bas teri yaadon ko sama hi sang he,
Aise mai hum shikva kare bhi to kisse kare,
Khambaqt mera yaar bhi to bewafa hai...

Tanhaiyaan

Aandhi aur toofan se bhi badtar hai ye tanhaiyaan,
kamse kam unme dard ke sath sath chikhein to hoti hai.........

Sapno k bina chahaat kaisi

Sapno k bina chahaat kaisi...
Chaahat ke bina pyar kaisa...
Pyaar ke bina mohabbat kaisi...
Aur mohabbat ke bina zindagi kaisi...

Chahat ki rahoon mai dil bichaye khade hai

Chahat ki rahoon mai dil bichaye khade hai,
Naseeb ko apne ajmeye khade hai,
Dekhna hai ab to mehnat kya rang lati hai,
Pyar ki bisat par khud ko mohara banaye khade hai...

Tumhari chahat hamein pagal banati hai

Tumhari chahat hamein pagal banati hai,
Din raat tumhari yaad satati hai...
Jane kya jadu kar diya hai tumne mujhpar...
Har jagah tumhari parchai hi nazar ati hai...

Yara teri dosti par kurban hai jaan hamari

Yara teri dosti par kurban hai jaan hamari,
Pyari hai jag mai mujhe sabse jyada ye dosti tumhaari,
Tere hi dum se jiya karte hai a dost,
Warna kya aukat hamari............

Gul hai ki gulab hai

Gul hai ki gulab hai,
Husn hai ki shabab hai,
Mehkhana hai ki sharab hai,
Jo bhi hai khuda ki kasam badi lajawab hai.

Yaadon main tera aks hai

Yaadon main tera aks hai,
Sasson main teri khushbu,
Tu hi hai dor mere patang ki,
Dhil na de dena a mere sanam,
Kahi kho hi na jau mai sune aasman mai...

Khawish hai ek aise mukkamil jahan ki

Khawish hai ek aise mukkamil jahan ki,
Jisme har taraf pyar hi pyar ho,
Tere dosti ki parakashta ho,
Jo majbur karde humein teri wafa ke samne sar jhukane ke liye........

Jane kitni aur kasauti deni padengi

Jane kitni aur kasauti deni padengi,
Khud ko apke kabil sabit karne ke liye...
Ab to jaan bhi nahi baki is sharir mai,
Tumko dene ke liye...

Dil karta hai ki kho jau teri jhil si madmast sharabi aankhon mai

Dil karta hai ki kho jau teri jhil si madmast sharabi aankhon mai,
Poojon tere ishq ko,
Magar phir sochat hu,
kahi barbad na ho jau tumhe pane ki koshish mai...

Khwahish hai tere deedar ki

Khwahish hai tere deedar ki,
Hasrat hai bas ek tujh jaise yaar ki,
Magar pata nahi q likha hai us khuda ne meri kismat bas intezaar hi...

In katil shikari nazaron se humein yun na dekh janeman

In katil shikari nazaron se humein yun na dekh janeman,
Is masum dil ke tukde hazar ho jate hai,
Kahin aisa na ho ye dil baghi ho jaye,
Varna tujhe hi shikva hoga ki humne apni hadein tod di...

Gum kha ke jiya karte ha

Gum kha ke jiya karte hai,
Khun ke ghut piya karte hai,
Jab bhi tumhari yaad ati hai,
Apne hi aashkon ko pani samajh piya karte hai.........

Beej tha ek din

Beej tha ek din,
Kal paudha bana tha,
Aaj phool hua hai,
A mere rehnuma,
Tu mali ban iski dekhbal karna,
Kahi ye gulshan basane se Pehle hi na ujad jaye...

Jab kismat ho futi to koi kya kare

Jab kismat ho futi to koi kya kare,
Jab honi ho anhoni to koi kya kare,
Hathon ki lakiron ko mita sakta hai kaun,
Jab sath chod de bhagvan bhi to fir use bacha sakta hai kaun...

Apke aur mere sambandho mai kabhi koi darar na aye

Apke aur mere sambandho mai kabhi koi darar na aye,
Dosti ki is kashti ke raste mai kabhi koi majhdhar na aye...
Aye to bas harpal apki yaad,
Jo sath hamesha apka dher sara pyar laye...

Do jag ki aag mai jala karte the jiske pyaar me

Do jag ki aag mai jala karte the jiske pyaar me,
Auron se kya shikhva karu jab luta hai mujhe,
Mere hi yaar mai......... ......

Charon taraf andhiyara hi andhiyara hai

Charon taraf andhiyara hi andhiyara hai,
Har disha mai gumon ke sayein hai,
Aise mai bas ek aise humsafar ki khawahish hai,
Jo is gehri hoti raat ki subah ban sake...

Beej

Dil ke sune aangan ko jab bhi hum tatolte hai.
Teri yaad ka sunahra beej hi usme milta hai..
Apne aashkon se hum use sincha karte hai...

Dil ka rishta saason se hai

Dil ka rishta saason se hai,
Palkon ka rishta aakhon se hai,
Kahi sath na chod dena a mere dost,
Qki in sabka rishta humari dosti ke dhagon se hai.

Dost teri dosti par kurban jau

Dost teri dosti par kurban jau,
Har saans tujh par var jau,
Dhan daulat kya chiz hai dost,
Gar jo bas chale to tuzpe nyochavar sara jahan jau.........

Saasein hai meri tere dum se

Saasein hai meri tere dum se,
Dil ki dhadkan tere karam se,
Sath na mera kabhi chodna a mere dost,
Qki zinda rakhti hai jo shay chetan ko wo hai teri dosti a mere dost...

Haramein khawbon mai tum ate ho q

Haramein khawbon mai tum ate ho q...
U akar bar bar hamiein tadpate ho q...
Apki zhil si aankhon mai kya nasha sa bhara hai...
In mai baar baar hamein lekar dub jate ho q...

Saturday, June 02, 2007

Betiyaan

Hasti hai betiyaan,
Hasati hain betiyaan,
Jaate jaate sabko bahut rulati hai betiyaan...

Anngan ki tulsi hoti hai betiyaan,
Kaliyon ki muskaan hoti hai betiyaan,
Baggon mai phool hoti hai betiaan...

Dard ka marham hoti hai betiyaan,
Khuda ka karam hoti hai betiyaan,
Dhundali raat mai roshni ki kiran hoti hai betiyaan...

Pita ke dil ka armaan hoti hai betiyaan,
Maa ke jigar ka tukda hoti hai betiyaan,
Bhai ki jaan hoti hai betiyaan...

Sargam ke bol hoti hai betiyaan,
Veena ke saaz hoti hai betiyaan,
Bansuri ki taan hoti hai betiyaan...

Anguthi ka nagina hoti hai betiyaan,
Moti ki chamak hoti hain betiyaan,
Gale ka haar hoti hai betiyaan...

Tyag ka sagar hoti hai betiyaan,
Daya ki gagar hoti hai betiyaan,
Mamta ki murti hoti hai betiyaan...

Srujan kaar hoti hai betiyaan,
Kasht nivar hoti hai betiyaan
Palan haar hoti hai betiyaan...

Laxmi ka roop hoti hai betiyaan,
Gyan ka bhandar hoti hai betiyaan,
Shakti ka swaroop hoti hai betiyaan...

Thandi hava ka zhonka hoti hai betiyaan,
Vraksh ki chav hoti hai betiyaan,
Chand ki thandak hoti hai betiyaan...

Saanso ki mehek hoti hai betiyaan,
Dil ki dhadkan hoti hai betiyaan,
Sharir mai aatma hoti hai betiyaan...

Kul ki mariyada hoti hai betiyaan,
Parivar ki shaan hoti hai betiyaan,
Sab ka armaan hoti hai betiyaan...

Apni bindiya ki chamak se ghar ko roshan karti hai betiyaan,
Apni khusbu se ghar ko mehkati hai betiyaan,
Apne astitva se ghar ko sajati hai betiyaan...

Betiyaan hi hai jo sabko ko ek dhage mai piroon kar rakhti hai,
Inke jane se mano,
Apni shakti kho deti hai yeh akhiyaan...

Khud sare gam sehkar,
Sabko khush rakhti hai,
Aur andhere kone mai sisak sisak kar roti hai betiyaan...

Hantho par chale hote hai,
Dil mai zamane ke diye hazaron gale hote hai,
Magar fir bhi sabse sab khuch chupa kar hamesha hasne wali hoti hai betiyaan...

Aur inke na hone se toh ghar ki deewarein bhi roti hai,
Katati hai tanhaiyaan,
Kai dil khoon ke ansoo roya karte hai...

Buddhi hin hote hai wo log,
Jo betiyoon ke janm par apni kismat ko rote hai,
Qki betiyoon ke hone se hi to ghar mai khushiyoon ke jayghosh hote hai...

Haan shayad aisi hi hoti hai betiyaan,
Ya yu kahun ki,
Aisi hi hoti hai betiyaan...

Hasti hai betiyaan,
Hasati hai betiyaan,
Aur jate jate sabko bahut rulati betiyaan...

Tarif

Tarif kya karun teri,
Shabd nahin hai milte mujhe...
Tere na hone par to,
Mere bagoon mai gul bhi nahi hai kihilte...

Tere chehre ke noor se,
Roshan hai jahan ye hamara...
Teri hasi ko dekh,
Maut bhi kar jati hai kinara...

Tere mathe ki bindiya,
Koi ek tare si lagti hai...
Uspar ye teri sadgi,
Mano mujh par ek keher sa dha jati hai...

Ye teri tikhi si tez nigahein,
Q dil pe mere tir chalati hai...
Jab bhi dekhti hai meri aur,
Mere dil ko chalni kar jati hai...

Kamal ki pankhudi jaise tere ye honth,
Angur ki beti se kaam nahi...
Pikar mar bhi jau inhe,
To us maut ka koi gum nahi...

Bijli ki tarah lehrate tere ye baal,
Bar bar teri nagin si balkhati kamar ko jab chu jate hai...
Wo manzar dekh kar acche acchon ke dilon par,
Mano hazaron saap lehratein hai...

Hirni si chal hai tumhari,
Pariyoon sa hai roop tumhara...
Khush nasib manta hu mai khud ko,
Jo us khuda ne mere liye is dharti par hai tumhe utara...

Sama hai dosti ka

Sama hai dosti ka,
Jhoom lene de sakhi,
Alam hai madhoshi ka,
Kho lene de sakhi,
Leher hai maujo ki,
Dub lene de sakhi,
Do pal ki zindagani hai,
Ji lene de ise sakhi,
Ji lene de ise sakhi....

Intezaar

Patzad ho hota hai barish ka intezar,
Raat ko hota hai subah ka intezar,
Saans ko hai hava ka intezar,
Aankh ko hota hai roshni ka intezar,
Har ek ko hai kisi na kisi ka intezar,
Intezar intezar intezar,
Mujhko bhi hai apke pyar bhare jawab ka intezar,
Batiye kab khatm hoga mera ye intetzar....

Nachna aunda nai

Oh giddhe vich nachan wale,
Mere husn de sarkara,
Tennu dekh sadda dil bhi nachanu karta si,
Par ki kara sannu nachna to dur,
Chakna tak aunda nahi...


Tere husn di mehek chandan di,
Nagin te waal tere,
Tenu dekh ke inni khushi hove,
Je tenu nachta dekh ki hove,
Thode noor de agge shama vi fiki si,
sannu te bati vi jalana aunda nai,
Tennu dekh sadda dil bhi nachanu karta si,
Par ki kara sannu nachna to dur,
Chakna tak aunda nahi...


Tere naien to pehle hi katle se,
Aude upar surma keher barsave ni,
Sadda ang ang khilta si haan diye,
Daar lagda hai gussa na kar jave,
Ehi karan dil da haal vi dasda aunda nai,
Tennu dekh sadda dil bhi nachanu karta si,
Par ki kara sannu nachna to dur,
Chakna tak aunda nahi...


Kone de vich dekh o dilbar haniye,
Gali de munde jhaki maaraye,
Sab dekh tenu tere nakhre savaar raye,
Koyal vi baagan ma chilla rahi,
Par sannu tere dil wich vasna aunda nai,
Tennu dekh sadda dil bhi nachanu karta si,
Par ki kara sannu nachna to dur,
Chakna tak aunda nahi...


Tennu dekh sadda dil bhi nachanu karta si,
Par ki kara sannu nachna to dur,
Chakna tak aunda nahi...

Reh reh k dil mai ajkal

Reh reh k dil mai ajkal,
Kuch kar guzarne ki tammana uthti hai...

Zamane ko kuch,
Banke dikhane ki iccha hoti hai...

Kuch pane kuch hasil karne ki chah,
Na jane q maan mai baar baar aa jati hai...

Chahta hu kuch aisa kar jau,
Jisse log meri yaadon ko apne sine mai hamesha abad rakhe...

Koshish hai duniya ko,
Apna tana hua sina dikhlane ki...

Pratiyogitaon ke is daud mai,
age bad jane ki...

Apne Peron par Khada,
Hokar dikhna hai...

Jo nahi kiya aaj tak Kisnie,
Aisa koi kaam kar jana hai...

Ye kaisi bechaini si hai,
Ye to mai nahi janta...

Magar haa itna jarur hai ke,
Ye ehsaas koi bura nahi...

Ab umra bhi to ho gayi hai,
Atma nirbharta ki...

Kab tak in andheri viran galiyon mai,
Dusron k sahare chalta rahunga...

Yehi to waqt hai,
Apne sapno ko sakar kar dikhane ka...

Unko apne anjaam tak,
Pahuchane ka...

Ab nahi kiya to,
Fir mauka nahi degi ye zindagi...

Qki ye bewafa zindagi,
Ek din zarur thukrayegi...

Aur mehbooba maut,
Akar apne sath lekar jayegi...

Jee rahein hai teri ek jhalak de vaste

Jee rahein hai teri ek jhalak de vaste,
Mil jaye jo to maut bhi kabul si...
Varna asi to pade the tere kadma vich,
Je marzi teri to thokar vi madre...

Par je thokar lage tenu v kisi de pyar wali,
Tad pyar mere da tenu ehsaas hove...
Tad tu maange dil sada,
Par tere aakhan aage sadi laash hove...

Magar e zalima yaad rakha es dil di awaz,
Asi to kabr wich bhi teri salamati di dua karange...
Tu kush rahein hardum,
Tenu mile jag di sari kushiyaan ehi rab se bolange...

Tere chehre de Noor thi saddi duniya roshan hondi hai,
Thoda pyaar hi saddi sanjivini hai...
Par tu jo rooth jave,
Tad tere vin e saasein bhi dushman hondi a...

Ek gal meri maan le o mitra mere,
Je ho jave kuch es zinda lash nu...
Sannu ek vari dekhan jarur anna,
Je fir thuk hi dena saddi kabar wich...

Assi to samaj levange ki sannu jannat milgayi,
Sadde Armanno ko rahat mil gayi...
Par je tu na ayi,
Tad sannu kabran wich bhi chain na mile...

Janm din hai apka

Janm din hai apka,
Ya kudrat ka koi ishara...


Chand salon pehle utra tha,
Zameen par aaj hi k din ek tara...


Tujhe bhej kar mano khuda ne,
Dhartipar kushiyon ke hazaron beej boye the...


Tere chehre ke noor se,
Mano jaise hazaroon chirag roshan huye the...


Shital hawa ke jhonke si mand mand,
Teri muskaan ne karahti aankhon ko hasne ki nayi wagah di thi,


Aur tujhe hath mai lekar,
Ek aankh ne hazaron sapne sanjoye the...


Hum bhi duaein karte hai hazaron tere liye,
Sajde karte hai teri lambi umra ke liye...


Mangte hai dua us rab se,
K mit jaye tere dushmano k sab namon nishan...


Mile tujhe jahan ki sari kushiyaan,
Har shay ho tujh par meherbaan...


Tohfa kya du tujhe ye sochta hu,
Qki mera Sabkuch to tera hi hai...


Sath na chodna mera a mere dost,
Kahin zindagi hi meri mujhse kar jaye na kinara...

Tarif tere husn ki

Nagin si hai chal teri,
Pariyon si muskan,
Uspar ye pak sangemarmar se tarasha hua shabab badan,
Tir chalati ye madmast sharabi aankhiyan,
Chain churati tere saason ki ravani,
Deewana banati tere bolon ki sargam,
Chand sa chamakta tera mukhda,
Sitaron si damakti tere mathein ki bindiyan,
Pavan ke zhonke si teri baliyan,
Gulab ki pankhudi se tere honth,
Pholon sa mahkta tera ang ang,
Teri payal ki jhankar se jhumta hai sara alam,

Dhundne jo nikla mai teri tarif ke liye shabd,
Khambakt ye zindagi choti padti nazar ayi.........

Meri Adhuri Zindagani

Meri Adhuri Zindagani... ......... ........

Adhuri sassein hai,
Adhuri hai zindagani...
Talash hai us hamsafar ki,
Jo puri kare meri kahani...
Mil jaye wo mujhe to ji lunga phir ek baar,
Jhum uthega rom rom,
Phir ek baar aa jayegi jeevan mai bahar,
Zarra zarra cahek uthega,
Saara alam mehek uthega,
Ab to intezar hai bas us pagali ka,
Na jane kab milegi wo,
Yahi dua hai meri ab to us rab se,
Milwa de mujhe mere hamsafar se,
Raha nahi jata ab to uske bina,
Saha nahi jata ab to uske bina,
Pane ki khawish usko kar rahi hai mujhe diwani,
Talash hai us hamsafar ki,
Jo puri kare meri kahani...

Har pal intezar hai ab to bas uska,
Lagne laga hai bekar sa sab kuch ab uske bina,
Kab hoga wo madhur milan,
Kab gunjegi kano mai uske bolon ki sargam,
Rehnuma mere jeevan kab aayega mere saamne,
Kab lutane milega mujhe uspar apna tan maan aur dhan,
Ab jaise ye tanhai ban gayi hai meri sathi,
Pagal na ho jau kahi use pane ki chahat mai,
Pane ka use dilo dimag par ek junoon sa sawar hai,
Kaise kaise ye jeevan jiye jaa raha hu,
Apne hi aansu piye ja raha hu,
Dhund kar ab to use apni kismat hai ajmani,
Talash hai us hamsafar ki,
Jo puri kare meri kahani...

Mazdhar mai phasi meri jeevan nav,
Dur tak nahi hai koi kinara,
Aakar tu dede mujhe sahara,
Charon taraf chaya hai bas andhiyara hi andhiyara,
Daar lagta hai ab to mujhe,
Kahin akela hi na reh jau,
Aakar sambhal le mujhe,
Sine se apne lagale,
Bahon mai apni fasale,
Dil mai apne chupale mujhko,
Kahi aisa na ho kho jaye meri hasti,
Paar laga de tu meri kashti,
Ab to aaja yu na tadpa mujhe o pagli deewani,
Talash hai us hamsafar ki,
Jo puri kare meri kahani...

Ab to chand bhi falak chod raha hai,
Fiki padti suraj ki chamak,
Dikhai pad rahi hai kam hoti taaron ki damak,
Lamha lamha jeevan ka guzar raha hai,
Khoya rehta hu bas usi ke khayalon mai,
Na jane kab aayegi wo, kab hoga uska deedar,
Bith rahi hai meri javani,
Talash hai us hamsafar ki, jo puri kare meri kahani...

Ji rahe hai ye adhuri zindagi na jane kabse,
Thak si gayi hai ye aakhein meri,
Uski raah takhte takhte,
Na jane kab milegi wo mujhe,
Ab to aas bhi khatm ho rahi hai,
Bikharti jaa rahi hai jeevan ki ladiyan,
Khatm ho rahi hai mere saason ki rawani,
Talash hai us hamsafar ki,
Jo puri kare meri kahani...

Ye meri adhuri zindagani................

Bandhan hai ye pyar ka

Bandhan hai ye pyar ka,
Bandhan hai ye mithi takrar ka,
Bandhan hai ye dhup chav ka,
Bandhan hai ye pyar bhari saugado ka,
Bandhan hai ye kasmon ka,
Bandhan hai ye vaadon ka,
Bandhan hai ye duaon ka,
Bandhan hai ye prem ki parakashta ka,
Bandhan hai ye tyag aur samarpan ka,
Bandhan hai ye vishvas ka,
Bandhan hai ye sagar se gehra,
Bandhan hai ye parbat ki unchai se bhi uncha,
Bandhan hai ye hire se bhi majbut,
Bandhan hai ye jisne jhuka diya tha bhagvan ko,
Bandhan hai ye sarvasraisth,
Bandhan hai ye kartik poornima ka,
Bandhan hai ye resham ke majbut dhagon ka,
Bandhan hai ye behen ke prati bhai ke pyar ka,
Bandhan hai ye jo milta hai kismat se,
Bandhan hai ye raksha ka.................................


Magar hum badnasibon ke kismat mai shayad bhagvan ne ye bandhan likha hi nahi hai...

Jab tha tanha mai betha apni tanhaiyoon ke sath

Jab tha tanha mai betha apni tanhaiyoon ke sath,
Dil ye mera mujhse bola,
Ek gehra raaz usne mujhpar khola,
Ke ishq hai mujhe tumse,
Haan Ishq hai mujhe tumse...

Wo bola mujhse ke tera chehra hai itna khubsurat hai,
Ke jahan mai dekhta hu,
Tuhi nazar mujhe ati hai...

Wo bola mujhse ke tumhari sansso mai hai aisi kashish,
Jiski pakad mai har jagah mehsoos karta hu,
Aur isiliye mai harpal khoya rehta hu tumhari yaadon mai...

Wo bola mujhse ke teri aakhen itni hasi hai,
Ki ji karta hai,
Ke mai inme bas jau...

Wo bola mujhse ke tum me ek aisa kichav hai,
Jiski vagah se,
Tum ban gayi ho is dil ki arzoo...

Wo bola mujhse ke tumhare honth kamal ki pankhudi ki tarah hai,
Aur mera ye dil chahta hai ki,
Har pal mai karu tumhari hi guptagoo...

Wo bola mujhse ke teri battein itni hasi hoti hai ke,
Jab bhi mai unhe yaad karta hu toh,
Fulon si ati hai mujhe khushbu...

Wo bola mujhse ke tu mere liye itni kimati hai ke,
Mai tujhe kahin chupa ke rakhlu,
Aur tera saya bhi mai kisi ko na du...

Wo bola mujhse ke wo chahta hai ki,
Rakhlu tujhe mai bana ke kisi ghar mai,
Aur sath tere mai hamesha rahu...

Wo bola mujhse ke zulfein teri hai itni ghani,
Ke unko dekh ke mai ye sochta hu ki,
Saye mai inke mai harpal jiun...

Wo bola mujhse ke tum kudrat ki wo hasin rachna ho,
Jis ka khayal karke,
Na mai jagta hu na mai sota hu...

Jab tha tanha mai betha apni tanhaiyoon ke sath,
Dil ye mera mujhse bola,
Ek gehra raaz usne mujhpar khola,
Ke ishq hai mujhe tumse,
Haan Ishq hai mujhe tumse...

Thursday, May 31, 2007

Na jane q aisa hota hai...

Na jane q aisa hota hai...

Q ajkal dil mera kehta hai,
Ke karlu mai bhi koi himakat,
Puri karlu apni sari hasratein,
Khol du sare tale aur tod du sari deewarein,
Aur ji lu pi kar wo masti bhara mehkash,
Na jane q aisa hota hai...

Khwahison ka gubar umadta hi jata hai,
Har pal ek masti si chai rehti hai,
Ab apne bare mai bhi sochne ki ichha hoti hai,
Khawboon ko roop dene ki chah uthti hai,
Aisa pehle to nahi tha
Na jane q aisa hota hai...

Berang is zindagi mai kuch rang bharne ki sochta hu,
Apni chahat ko duniya se kahin dur le jane ki sochta hu,
Sabse sab kuch kehne ki tammana hai,
Magar fir is tammane ko dabane ki sochta hu,
Uski chahat mai dub jane ko ji chahta hai,
Na jane q aisa hota hai...

Uski ek jhalak ke badle,
Hazaron baar marne mai bhi koi hichak nahi,
Uske liye jahan se ladne mai bhi koi ranjish nahi,
Uski awaaz sargam ki tarah lagti hai,
Har taraf usi ka saya mehsoos hota hai,
Na jane q aisa hota hai...

Kabu nahi rehta ab maan pe,
Kya hai ye koi batlaye mujhe,
Kaisa hai ye junoon,
Jo badal raha hai zindagi ka ruk,
Sab kuch naya sa lagta hai,
Na jane q aisa hota hai...

Mar mitne ki uspar hasrat hai,
Kya chahat mai aisa hi hota hai,
Agar haan to ye ehsaas bhi jannat se kam nahi,
Sab kuch accha sa lagta hai,
Sab Kuch saccha sa lagta hai,
Na jane q aisa hota hai...

Agar ye Khwab hai,
To fir yahi dua hai,
Ke is raat ki subah na ho,
Ye zilmilate tare khushiyon ka falak kabhi na chode,
In arzuon, in khwabon ka daaman kabhi na chute,
Na jane q aisa hota hai...

Haan shayad chahat mai aisa hi hota hai,
Na jane q aisa hota hai,
Na jane q aisa hota hai...