Wo toh sapney hi dikhate reh gaye,
Aur hum un sapno ke madh mai,
Unke sath behte chale gaye,
Is dauran ek aisa bhi mod aya,
Jab hum mazdhar mai fasane waley the,
Magar waqt rehtey sambhal gaye...
Saturday, May 17, 2008
Ek gal yaad rakhna
Ek gal yaad rakhna,
Ishq de o mere mitra pehchaan ke,
Tut jaya kartey hai wo darakht baad mai,
Jinhone kabhi andhi toofan aur mushkilon ka,
Samna nahin kiya hota hai,
Aur chattan ki tarah mazbut rehta hai,
Wo darakht,
Jinke beej ne bhi,
Chetan hone ke liye taklife jheli hoti hai...
Ishq de o mere mitra pehchaan ke,
Tut jaya kartey hai wo darakht baad mai,
Jinhone kabhi andhi toofan aur mushkilon ka,
Samna nahin kiya hota hai,
Aur chattan ki tarah mazbut rehta hai,
Wo darakht,
Jinke beej ne bhi,
Chetan hone ke liye taklife jheli hoti hai...
Aayega kab wo mausam
Aayega kab wo mausam,
Jab mai bhi apne dil ke armaan,
Kagaz ke badle,
Alfazon mai bayan kar paunga,
Thak gaya hu mai,
Sehra mai akele chaltey chaltey,
Tarasta hu mai bhi,
Us pedh ke aanchal taley baithne ko,
Jiske daaman mai,
Mohabbat hi mohabbat bhari ho,
Jahan baith kar mai bhi,
Us roohani tazagi ko mehsoos kar saku,
Jiske chaltey,
Mera zarra zarra gunguna uthe,
Kab hoga us jharne ka deedar,
Jiski ek boondh,
Dojak ki aag ko bhi,
Thanda kar de,
Ae malik mere,
Itni hi fariyaad hai tujhse,
Dikha dena wo aks,
Kamayat se pehle mujhe,
Jiske deedar ke baad,
Koi aur tammana,
Koi aur arzoo,
Zindagi mai na bache,
Jiske baad mai,
Mehbooba maut ke aagosh mai,
Chetan honey ke ehsaas ko chod,
Hastey hastey chala jau...
Jab mai bhi apne dil ke armaan,
Kagaz ke badle,
Alfazon mai bayan kar paunga,
Thak gaya hu mai,
Sehra mai akele chaltey chaltey,
Tarasta hu mai bhi,
Us pedh ke aanchal taley baithne ko,
Jiske daaman mai,
Mohabbat hi mohabbat bhari ho,
Jahan baith kar mai bhi,
Us roohani tazagi ko mehsoos kar saku,
Jiske chaltey,
Mera zarra zarra gunguna uthe,
Kab hoga us jharne ka deedar,
Jiski ek boondh,
Dojak ki aag ko bhi,
Thanda kar de,
Ae malik mere,
Itni hi fariyaad hai tujhse,
Dikha dena wo aks,
Kamayat se pehle mujhe,
Jiske deedar ke baad,
Koi aur tammana,
Koi aur arzoo,
Zindagi mai na bache,
Jiske baad mai,
Mehbooba maut ke aagosh mai,
Chetan honey ke ehsaas ko chod,
Hastey hastey chala jau...
Subscribe to:
Posts (Atom)