Saikado ki bhid mai bhi wo aaj tanha khadi hai,
Duwidha ki ye dekho kaisi ghadi hai,
Wishwa sundari wo rajkumari aaj kashmakash mai padi hai,
Pita ke pyar aur dulaar ka samaan karey,
Ya apni mahobbat ko kurban karey...
Prem karne ki aaj ye dekho kaisi saza mili hai dono ko,
Ek hai domuhi talwar ki dhar par khada,
Toh duja hai do patan ke bich pissa pada,
Dekhne ye saara sansar hai khada,
Ke kya tabahi machayega ye toofan...
Ek hai somras ka pyala,
Toh duja gayion ka gwala,
Bhavishya se aanjan,
Lekar sang apne sunehare spano ki duniya,
Ishq ki raah par chal padey hai do nadan...
Sunheri waadiyon ke bich,
Nilam se chamakte aasman ke taley,
Athkheli karti nadiyoon ke kinare,
Prem ki parakhastha ko chune,
Chup chup kar mila karte the woh...
Ek dujhe ke bina adhure,
Jaisey chand sitare,
Milan pe inke,
Jaisey bajti thi fiza mai murli ki taan,
Magar na thi unpar kismat meherbaan...
Lagi hai aaj nazar,
Kisi ki unke pyaar ko,
Thes hai lagi pita ke ehenkaar ko,
Bajwaya hai dhol,
Marne us gaddar ko...
Shurveer wo raja hai,
Aisi paristhiti mai is samasya ka,
Ek hi hai uske liye samadhan,
Rank se judana,
Nahin uska mukaam...
Premi wo bich darbar mai bandha pada hai,
Apne dil ke karan majbur bada hai,
Hukm ye hua hai,
Chunana paedga,
Do raston mai se apna anjaam...
Ek raste par hai,
Bhuke sher ke roop mai,
Maut ka paigaam,
Toh dujhe par,
Apne sathi ke sang jeevan jeene ka farmaan...
Pahuncha kar apne dildaar ko khabr us rastey ki,
Bacha sakti hai wo uski jaan,
Magar kya aur kaisey karu samajh nahin hai ata usey,
Madad wo apney dildar ki karey,
Ya karey pitah ke prem ka apmaan...
Ummid nahin hai nazar ati koi,
Na nazar ata hai koi rasta,
Aisey mai koi karey bhi toh kya karey,
Jab andhakaar ho samney,
To koi kaisey na girey...
Aayi hai pariksha ki ghadi,
Dono par hai,
Ye kaisi bipda aan padi,
Kya hui khata inse,
Jo inhe hai aisi saza mili...
Chuna hai rasta,
Lekar naam apni deewani ka,
Alaakh thi aisi halat uski,
Ke laash bhi na mili,
Us alhaad parwane ki...
Sunke na raha hai hosh aaj parwani ko,
Pagal hui prem deewani toh,
Ab toh jaisey tham gaya hai waqt,
Samjhane us mastane ki,
Mastani ko...
Piya hai wish ka pyala usne bhi,
Na mil sake jitey ji,
Toh marke hi sahi,
Bujhi hai shama bhi,
Apney patange ko rijhane ko...
Dekh ye manzar aaj,
Aasman bhi roya hai,
Apne beti ke pyaar ko,
Raja ne apne ghamand mai,
Khoya hai...
Kaisi ye vidambana hai,
Kaisa yeh vidhaan hai,
Do nirdoshon ke,
Q is Kadar,
Kuchle gaye armaan...