Monday, May 05, 2008

Aap ko nahin hai parwaah hamari

Aap ko nahin hai parwaah hamari,
Koshishein jo itni ki hamne sab zaya ho gayi,
Aisey hi is kashti par sawar ho chaley the hum to,
Magar anjaam ye hoga itni mashkaat ke baad bhi,
Iska kabhi nahin kiya tha aitraam...

Kami toh kuch hogi hamare hi pyaar mai

Kami toh kuch hogi hamare hi pyaar mai,
Jo hamara pyaar ham par bharosa na kar saka,
Nadi ke do kinaro ki tarah hotey hai premi,
Agar sagar se na miley toh hamesha juda hi rehte hai,
Magar fir bhi shuruaat safar ki dono sath hi kartey hai...

Kuch chizein aisi hoti hai

Kuch chizein aisi hoti hai,
Jinhe jatana zarurui hota hai,
Qki jab ishq apne zubur par hota hai,
Toh aashiq ka dil bhi chahta hai,
Ke woh bhi dikhane mai apney mehboob jaisa ban jaye...

Samundar ka pani khara hai

Samundar ka pani khara hai,
Toh isme samudar ka kya dosh,
Sanam apka bewafa nikala,
Toh isme kisi aur ka kya dosh...

Dil ka toh kaam hota hai dhadakna

Dil ka toh kaam hota hai dhadakna,
Usey dhakane do,
Magar awaz toh tab sunayi degi,
Jab koshish karo aap usey sunane ki...

Hukm hai huzoor ka

Hukm hai huzoor ka,
Ada toh karna hi hoga,
Warna yeh katil tire nazar apki sanam,
Kalte aam kar dengi...

Samundar ki gehrai napne se pehle

Samundar ki gehrai napne se pehle,
Apne dil ki gehrai ko naap lo sanam,
Samndar mai toh koi bhi gota laga leta hai,
Dil wo nagri hai,
Jahan prem rogiyoon ke siwa koi nahin ata...

U aye hai huzoor hamari mehfil mai hamari khushkismati hai

U aye hai huzoor hamari mehfil mai hamari khushkismati hai,
Sab ki nigahein hain unpar tiki aisa unka jalwa hai,
Husn hai aisa ada kiya khuda ne unko,
Ke aashikon ki lashein bichi padi hai raahon mai...

Jis tarah aag jalana nahin bhulti

Jis tarah aag jalana nahin bhulti,
Pani pyaas bhujana nahin bhulta,
Wraksh chaanv dena nahin bhulta,
Waisey hi koi likhna nahin bhulta...

Zindagi toa zindagi hai

Zindagi toa zindagi hai,
Kya aitbaar kare,
Koi apno par bharosa nahi karta,
Kya ajnapee par bharosa kare,
Par kahi na kahi ek ehsaas hai jo kahte hai,
Ki ha koi ek ajnabee hai jo,
Is bharose paar aitbaar kar sake,
Ke woh ajnabee apna ban jai jo,
Hamesha apna bankar zindagi mai chetanta ka ehsaas jaga de,
Shayad jo chetanta ka beej boye toh,
Ek manzeel ubhar aye mukund maye jeevan jeene ke liye,
Shayad woh ajnabee itna apna ban jai,
In ajnabee raho par,
Is anjani galiyoon mai,
In begane modon par,
Jise zindagi kehte hai,
Woh hamari zindagi ban jaye...