Zindagi toa zindagi hai,
Kya aitbaar kare,
Koi apno par bharosa nahi karta,
Kya ajnapee par bharosa kare,
Par kahi na kahi ek ehsaas hai jo kahte hai,
Ki ha koi ek ajnabee hai jo,
Is bharose paar aitbaar kar sake,
Ke woh ajnabee apna ban jai jo,
Hamesha apna bankar zindagi mai chetanta ka ehsaas jaga de,
Shayad jo chetanta ka beej boye toh,
Ek manzeel ubhar aye mukund maye jeevan jeene ke liye,
Shayad woh ajnabee itna apna ban jai,
In ajnabee raho par,
Is anjani galiyoon mai,
In begane modon par,
Jise zindagi kehte hai,
Woh hamari zindagi ban jaye...
No comments:
Post a Comment