Friday, September 18, 2009

Tum Miley

Humko jo tum miley ho,
Mano manzil mil gayi.
Warna ab se pehle toh,
Banjara dil tanha galiyoon mai bhatka karta tha.

Tuesday, May 05, 2009

Ek lash ki tarah jeeta hai

Ek lash ki tarah jeeta hai,
Aur samajhta hai wo chetan hai,
Arey maut bhi uspar hasti hai,
Koi jakar batlaye usey,
Thokar khakar bhi chal padne ka ehsaas hi,
Zindagi ka sabab hai...

Saturday, March 14, 2009

Dard

Ghor kali ghatoon ke taley,
Barastey huye motiyoon ke sang,
Aanjan raahon par,
Banjaroon ki tarah bhataktey huye,
Mai sukoon mehsoos karta hu,
Aisey mai dard ko chupana nahin padta,
Chetan na honey ka ehsaas nahin satata...

Berang meri is duniya mai

Berang meri is duniya mai,
Woh rangoon ki bahaar le aye...
Humne toh manga tha ek gul,
Woh sara chetan gulistaan le aye...

Friday, February 06, 2009

Mazi ko apney yaad karta hu

Andhere viraan raaston par,
Tanha tanhaiyoon ki baahon me,
Banjaaron ki tarah bhataktey huye mai,
Mazi ko apney yaad karta hu...

Bedard zamaney ke diye huye,
Hazaron gamon ko sang lekar,
Yaadon ke bhanvar mai dubey huye un hasin lamhon ki khoj me mai,
Mazi ko apney yaar karta hu...

Mand mand pavan ke sang athkheli karti taaron ki zhilmilahat ko dekh,
Bhor ki aahat par jo khil pada karti thi,
Aauns mai nahain hui us pankhudi ki talash me mai,
Mazi ko apney yaad karta hu...

Ghaanv itney lagey hai siney mai,
Ke dard ka bandh bhi ab tutaney wala hai,
Ek pal ka sukoon jo pahuncha de aisey kisi marham ki talash me mai,
Mazi ko apney yaad karta hu...

Kisi aanjan raah ki mod par,
Milney wali us ek muskuraahat ke intezaar me,
Chetan baney rehne ki koshish karta mai,
Mazi ko apney yaad karta hu...