Andhere viraan raaston par,
Tanha tanhaiyoon ki baahon me,
Banjaaron ki tarah bhataktey huye mai,
Mazi ko apney yaad karta hu...
Bedard zamaney ke diye huye,
Hazaron gamon ko sang lekar,
Yaadon ke bhanvar mai dubey huye un hasin lamhon ki khoj me mai,
Mazi ko apney yaar karta hu...
Mand mand pavan ke sang athkheli karti taaron ki zhilmilahat ko dekh,
Bhor ki aahat par jo khil pada karti thi,
Aauns mai nahain hui us pankhudi ki talash me mai,
Mazi ko apney yaad karta hu...
Ghaanv itney lagey hai siney mai,
Ke dard ka bandh bhi ab tutaney wala hai,
Ek pal ka sukoon jo pahuncha de aisey kisi marham ki talash me mai,
Mazi ko apney yaad karta hu...
Kisi aanjan raah ki mod par,
Milney wali us ek muskuraahat ke intezaar me,
Chetan baney rehne ki koshish karta mai,
Mazi ko apney yaad karta hu...