Saturday, June 02, 2007

Betiyaan

Hasti hai betiyaan,
Hasati hain betiyaan,
Jaate jaate sabko bahut rulati hai betiyaan...

Anngan ki tulsi hoti hai betiyaan,
Kaliyon ki muskaan hoti hai betiyaan,
Baggon mai phool hoti hai betiaan...

Dard ka marham hoti hai betiyaan,
Khuda ka karam hoti hai betiyaan,
Dhundali raat mai roshni ki kiran hoti hai betiyaan...

Pita ke dil ka armaan hoti hai betiyaan,
Maa ke jigar ka tukda hoti hai betiyaan,
Bhai ki jaan hoti hai betiyaan...

Sargam ke bol hoti hai betiyaan,
Veena ke saaz hoti hai betiyaan,
Bansuri ki taan hoti hai betiyaan...

Anguthi ka nagina hoti hai betiyaan,
Moti ki chamak hoti hain betiyaan,
Gale ka haar hoti hai betiyaan...

Tyag ka sagar hoti hai betiyaan,
Daya ki gagar hoti hai betiyaan,
Mamta ki murti hoti hai betiyaan...

Srujan kaar hoti hai betiyaan,
Kasht nivar hoti hai betiyaan
Palan haar hoti hai betiyaan...

Laxmi ka roop hoti hai betiyaan,
Gyan ka bhandar hoti hai betiyaan,
Shakti ka swaroop hoti hai betiyaan...

Thandi hava ka zhonka hoti hai betiyaan,
Vraksh ki chav hoti hai betiyaan,
Chand ki thandak hoti hai betiyaan...

Saanso ki mehek hoti hai betiyaan,
Dil ki dhadkan hoti hai betiyaan,
Sharir mai aatma hoti hai betiyaan...

Kul ki mariyada hoti hai betiyaan,
Parivar ki shaan hoti hai betiyaan,
Sab ka armaan hoti hai betiyaan...

Apni bindiya ki chamak se ghar ko roshan karti hai betiyaan,
Apni khusbu se ghar ko mehkati hai betiyaan,
Apne astitva se ghar ko sajati hai betiyaan...

Betiyaan hi hai jo sabko ko ek dhage mai piroon kar rakhti hai,
Inke jane se mano,
Apni shakti kho deti hai yeh akhiyaan...

Khud sare gam sehkar,
Sabko khush rakhti hai,
Aur andhere kone mai sisak sisak kar roti hai betiyaan...

Hantho par chale hote hai,
Dil mai zamane ke diye hazaron gale hote hai,
Magar fir bhi sabse sab khuch chupa kar hamesha hasne wali hoti hai betiyaan...

Aur inke na hone se toh ghar ki deewarein bhi roti hai,
Katati hai tanhaiyaan,
Kai dil khoon ke ansoo roya karte hai...

Buddhi hin hote hai wo log,
Jo betiyoon ke janm par apni kismat ko rote hai,
Qki betiyoon ke hone se hi to ghar mai khushiyoon ke jayghosh hote hai...

Haan shayad aisi hi hoti hai betiyaan,
Ya yu kahun ki,
Aisi hi hoti hai betiyaan...

Hasti hai betiyaan,
Hasati hai betiyaan,
Aur jate jate sabko bahut rulati betiyaan...

No comments: