Thursday, May 01, 2008

Mera bas chale toh

Mera bas chale toh,
Tere rahon mai ke sare kaatein hatta du,
Tere peron taley fulon ki bichayat bichadu,
Tujhe apni aanhon mai sajalu,
Tujhe apni palkhon par bitha lu,
Tujhe apne saason ki khushbu banalu,
Tere ang ang chandan sa mehekta hai haandiye,
Uspar bhi tujhe doodh se nehla du,
Mai tujhe apne haton se saju,
Tujhe saaj aur shringar dharau,
Tujhe jahan se chupa kar apne dil mai basau,
Teri hasi ko mai apna lakshya banau,
Tere hoton ka madhu raas pita chala jau,
Teri bindiya baan tere mathe ko har pal chumta rahu,
Tere galon ki lali ban unka tej badhau,
Teri nagain si balkhati kamar ko dekh mai madhosh ho jau,
Tere katil shikari nazaron ka mai shikar ban jau,
Tere nilam se chamakte aang ko apne ungliyoon par sajau,
Tere naino mai ashruoon ko dekhne se pehle,
Mai sare jahan se lad jau,
Mera bas chaley toh,
Mai ye karu mai woh karu,
Mai karta hi chala jau,
Magar kambhakt mera bas chalta kahan hai...

No comments: