Maa is shabd ki paribhasha is jagat mai koi bhi jeev nahi de sakta,
Magar sankshep mai vyakt karte hue maa ke vyaktitva ko...
Maa,
Maa jo murat hai mamta ki,
Maa jo sagar hai prem ka,
Maa jo roop hai chama ka,
Maa jo gagar hai daya ki...
Maa,
Maa jo galatiyaan chupane wali,
Maa jo pehla guru hai,
Maa jo aanchal hai chaanv ka,
Maa jo sneh ki barsaat hai...
Maa,
Maa jo lori hai rote bacche ki,
Maa jo goud hai neend ki,
Maa jo manzil hai thakan ki,
Maa jo pehchaan hai muskaan ki,
Maa,
Maa jo annapurna hai,
Maa jo mithe doodh ka pyala hai,
Maa jo aashirwad bhara dahi ka katora hai,
Maa jo fuk se thanda kiya hua nivala hai...
Maa,
Maa jo khaya hua thanda falka hai,
Maa jo bhuke pet guzari hui raat hai,
Maa jo jagte hue bitaya hua lamha hai,
Maa jo tan ko sukha kar dudh pilane wali...
Maa,
Maa jo neend na ane par diya hua thapeda hai,
Maa jo bure sapne se mili raahat hai,
Maa jo prarthana ka swaroop hai,
Maa jo haste baache ki kilkari hai..
Maa,
Maa jo chot lagne par gira hua aansu hai,
Maa jo taklif mai yaad kiya hua shabd hai,
Maa jo prerna dene wali,
Maa jo sabse jhagad kar humko bachane wali...
Maa,
Maa jo ane wali vipdaon ka bhakshak hai,
Maa jo dua ke roop mai rakshak hai,
Maa jo uun se banaya hua vastra hai,
Maa jo chata bankar barish se bachane wali...
Maa,
Maa jo fada hua aanchal ka tukda hai,
Maa jo duur hokar bhi kareeb hai,
Maa jo vida lete waqt rone wali,
Maa jo dard seh ke janm dene wali...
Maa,
Maa tere charnoon mai arpan sab kuch mera hai,
Maa tere bin ye jeevan adhura hai,
Maa,
Maa tere bin ye chetan adhura hai,
Maa,
Maa tere bin ye chetan adhura hai...
No comments:
Post a Comment